It is one of the beautiful compensations of life that no man can sincerely try to help another without helping himself."
This poetry encompasses romance , an elation of being in love and the sparks that fly and as aptly put , when love is not madness , it is not love .
Main Ghazal ki palken sanwaar loon
Mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utaar loon
Main tamaam din ka thaka hua
Tu tamaam shab ka jaga hua
zara Thahar ja isi mod par tere saath shaam guzaar loon
agar aasmaan ki numaaishon mein
Mujhe bhi izn-e-qayaam ho
to main motiyon ki dukaan se teri baaliyaan tere haar loon
[izn-e-qaayam=command to stop]
kayi ajanabi teri raah ke
Mere paas se yun guzar gaye
Jinhen dekh kar ye tadap hui
Tera naam leke pukaar loon